Umrah ka Tarika in Urdu (Niyat aur Duaein)

Pehli bar Umrah kerne k lie hume un tamaam chizon ka khayal rekhna chaheye jo Umrah ke duran kerna lazim hen jese ke Ihram bandna, Halq yani sir se bal utrana ya Tasqir mtlb bal sir ke bal chote kerna. In teen faraiz ke elawa b ase awmaal hen jinke bagr Umrah mukamil nahi hota. In tamaam awamil ka bare me jane ke lie or apne ane wale safar ko mazeed bahter banane k lie 5 minutes apni masroof mamool se nikalain or mere sath janiya Umrah ka tarika.

Umrah Ka Tarika

Mazeed age barhne se pehle me apko ye bta don ke tamam awamil jo keh Umrah me farz hen hume Quran or Ahadees se maloom perte hen. Chonke Quran ki tashreh Ahadees se ki jate he is lie hume in tamam awamil ka saboot Hazrat Muhammad (SAW) ki zindgi mubarik se milta he. In awamil me koi fark nai he ksi b maslag ke liya is lie ap in pr bilajhejak amal ker skte hen.

Umrah or hajj ke awamil me khasa fark majood he, Umrah k lie hume chund din darkar hote hen jb ke Haj ke lie hume ek mutaihan awaqt tk Haj ki adaigi kerni hoti he. Haj or Umrah me wo chund chizen jo ek jesi hen , mena nichen btaen hui hen, aaen is ayat se agaz keren Umrah ke tarika smjne k lie;

وَأَتِمُّوا۟ ٱلْحَجَّ وَٱلْعُمْرَةَ لِلَّهِ ۚ فَإِنْ أُحْصِرْتُمْ فَمَا ٱسْتَيْسَرَ مِنَ ٱلْهَدْىِ ۖ وَلَا تَحْلِقُوا۟ رُءُوسَكُمْ حَتَّىٰ يَبْلُغَ ٱلْهَدْىُ مَحِلَّهُۥ ۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوْ بِهِۦٓ أَذًۭى مِّن رَّأْسِهِۦ فَفِدْيَةٌۭ مِّن صِيَامٍ أَوْ صَدَقَةٍ أَوْ نُسُكٍۢ ۚ فَإِذَآ أَمِنتُمْ فَمَن تَمَتَّعَ بِٱلْعُمْرَةِ إِلَى ٱلْحَجِّ فَمَا ٱسْتَيْسَرَ مِنَ ٱلْهَدْىِ ۚ فَمَن لَّمْ يَجِدْ فَصِيَامُ ثَلَـٰثَةِ أَيَّامٍۢ فِى ٱلْحَجِّ وَسَبْعَةٍ إِذَا رَجَعْتُمْ ۗ تِلْكَ عَشَرَةٌۭ كَامِلَةٌۭ ۗ ذَٰلِكَ لِمَن لَّمْ يَكُنْ أَهْلُهُۥ حَاضِرِى ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَامِ ۚ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ وَٱعْلَمُوٓا۟ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلْعِقَابِ ١٩٦

Aur Hajj or Umrah k lie pura kero phir agr tumhen (Makkah se) rok diya jae to (Haram main) qurbani ka janwar bhajo jo mayaser aae or apne sar nah mandhwao jb tk qurbani apne thikane na pohoch jae phir jo tum bemaar ho yah iske sar main koi takleef ho to roze yah khayrat ya qurbani ka fidiya den phr jb tum itmanaan se ho to Hajj se Umrah ka faida utae is pr qurbani lazim he jasae mayaser ho phir jo (qurbani ki qudrat) nah rekh pae to teen (3) roze Hajj ke dino main rekhe or saat (7) roze (is waqth rekho) jb tum apne ghr lotker jao, yeh mukalim des (10) hen. Yeh hukum iske lie he jo Makkah ka rehne wala na ho aur Allah se darte raho aur jann rekho kah Allah shadid azab dene wala he. Al-Baqarah (196)

Umrah Ke Faraiz

In ayat mubarik me hum dekh skte hen ke Quran majeed tamam Umrah or Hajj ke faraiz ki bat ker raha lakin yaha ye pta lagana mushkil he ke in faraiz ko kese serunjam dia jae. Mazeed aghe barhne ke lie hum in faraz pr amal kerne ke lie chund marhlawar tarike dekhen ge. Niche dekhiya!

Pehla Marhla (Ihram)

Jismani Safai

Ihram ek asi halat he jis me wo shaks jisne Umrah ki niyat ki he apne apko pak saaf kerle. Asal me, Ihram us halat ko kehte hen jb Umrah kerna wala shaks apne jism pr ek muksus kapra lapet leta he. Lakin Ihram ki halat me dakhil hone se pehle is shaks ko apne jism se tamam gair zarori bal hatane honge, apne nakhun tarashne honge, ghusal kerna hoga.

Ihram Bandhana

Jb ap yeh safai ke kam seranjam deden to 2 bager sile hue kapre itna lambe jis se jism dhanpa ja ske le or jism se lapet len. Khwateen ka rozmara ke safad kpre pehna zarori he jb ke mard hazrat Ihram lapet len. Ek or bat ka khyal rekhen ke khawateen apna chahera na chupaen jb ke mard hazrat apna sar dhapne se guraz keren.

Niyyat Kerna

Jb ap Ihram ki halat me dhakil ho jaen to is moke pr Umrah ki niyat keren. Is ke lie sirf tasawur kerlen ke “Mein niyyat kerta hun Umrah ki” ya phir ap ye alfaz dohora skte hen “اللَّهُمَّ إِنِّيْ أُرِيْدُ الْعُمْرَةَ فَيَسِّرْهَا لِيْ وَتَقَبَّلْهَا مِنِّيْ” jinka lugwi matlb he “Ah Allah mein niyyat kerta hu Umrah adda kerne ki, isko kabool farmah or isko mere lie asan farma”.

Talbiyah

Iske bad apne mustakil ye alfaz dohorane hen “لَبَّيْكَ ٱللَّٰهُمَّ لَبَّيْكَ، لَبَّيْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ لَبَّيْكَ، إِنَّ ٱلْحَمْدَ وَٱلنِّعْمَةَ لَكَ وَٱلْمُلْكَ لَا شَرِيكَ لَكَ” jinka mtlb he ke “Ah Allah mein hazir hu, mein hazir hon, tera koi shareek nahi, mein hazir hu. Beshak humd tere he laik he, sari namaten teri he de hui hen, badshahi teri he ha, tera koi shareek nahi”.

Jese he ap Talbiyah yani ye alfaz bolte hen ap Ihram ki halat me dhakil ho jate hen or apko “Muhrim” yani “Ihram ki halat me shaks” keh ker pukara jata he. Yad rahe jese he ap Ihram ki halat me dhakil hote hen ap un tamam asoolon zawabit ko madanazir rekhen jo keh ek Murhim pr farz hen. In asoolon zabawabit ki fahrist niche digie he;

  1. Ap nakhun nahi tarash skte.
  2. Ap na sar ke bal kat skte hen na tarash skte hen.
  3. Ap Ihram labas pr ksi kisam ki khushboh nai lga skte.
  4. Ap kisi b kisam ke garzarori jismani taluk me mulawis nai ho skte.
  5. Khawateen apne chahra nai dhanp sktin.
  6. Ap shikar nahi ker skte (kisi b janwar ko mar nahi skte).
  7. Ap Ihram labas ki halat me jurab nahi pahen skte.
  8. Ap sileh hue kpre nahi pehen skte.

In 8 asoolon pr Muhrim ko ksi bhi halat me amalperah hona lazimi he. Agr Muhrim se koi ghalti sarzad ho jae or wo ksi asool ke khalaf chala jae to iske lie Muhrim ko harjana adda kerna hoga. Harjana ma us ko qubani krna ho gi.

Dusra Marhla ( Tawaful-Qudoom)

Ap Ihram ki halat me dhakil hone ke bad Masjid Al-Haram Makkah me dakhil hote hen. Yad rahe masjid me dakhila ke bhi kuch asool hen jese sidha paon se dhakil hona or chund alfaz duhurana “اَللَّهُـمَّ افْتَـحْ لِي أَبْوَابَ رَحْمَتـِكَ” jiske mtlb he “Ah Allah mera pr rahmat ke darwze khol de”. Mazeed ye keh dakhil hote waqt tawaf ki niyyat kerlen or masjid Al-Haram me dhakil ho jaen.

Tawaf Kerne Ka Tarika

Tawaf he Umrah ka sub se aham juz he is lie Muhrim ko is bat ka sahi andaza hona chahiya ke Tawaf kerne ka asal tarika kia he. Jese he ap Al-Haram masjid me dhakil hon to kuch nawafil ada kerlen ya kuch dar masjid ka dakhli hisson me waqt guzaren. Phir Kaba ki terf rukh keren or jb ap kaba ka qareeb pohoch jaen jahan tamam log tawaf me masroof ho to ap Hajarul-Aswad ki terf se shuruwat karen.

Dekhen, tawaf ke liya Al-Haram masjid ke darmiyani jga Kaba ke qareeb 7 hison me banta gya he. Tawaf ka tarika ko smjne ke lie ap Kaba ke hison ko pehle smjhe; Hajarul-Aswad se pichla hisa “Yemeni Kona” kehlata he. Kaba ke tawaf wali jga pr ek hisa “Muqame Ibraheem” kehlata he. Barhal, Muhrim ko chahye ke wo Hajarul-Aswad ki terf se tawaf ki shuruwat kere.

Yahan ek kabile ghor asool na bhuliya ga ke mard hazrat Ihram labas me se apna sidhi terf ka bazo nikal len jb ke khawateen apna chahera khula rekhen, is amal ko Idhatiba kehte hen. Muhrim ko Kaba ke gird 7 chakar lagane honge jinme se usko Al Hatim; naem daera wale hisse ko nazarandaz kerna hoga.

Tawaf ki niyyat

Awal to ap dill me niyat ker skte hen magr in alfaz ko durahana zyda behter hoga “ اللَّهُمَّ إِنِّيْ أُرِيْدُ طَوَافَ بَيْتِكَ الْحَرَامِ فَيَسِّرْهُ لِيْ وَتَقَبَّلْهُ مِنِّيْ” jiska mtlb he “ Ah Allah mein niyat kerta hu/ kerti hu tera rehmat wale ghr ke tawaf ki to isko qabool farma aur asaan farma”. Ye niyyat kerne ka bad “Allah Akbar” kahen or tawaf shru kerden.

Kaba Ka Chakar Lagane K Tariqa

Kaba ka tawaf ke doran ya bat zahan me rekhen ke pehle 3 chakkar jo sub se bare hote hen unme zara sa taz challen. Mazeed 4 chakkar Murhim ko uski apni rozmara ki raftar me lagane honge. Tawaf ke waqt koi khas dua mutaiyan nahi he magr Muhrim koi bhi dua mang skta he.

Lakin tawaf ke waqt ye dua mangna sunnat he “رَبَّنَا آتِنَا فِىْ الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِىْ الآخِرَةِ حَسَنَةً وَّقِنَا عَذَابَ النَّارِ” jiska matlb he “Ah hamre rub humien dunya me bhalai de aur akhirat me bhi bhalai de aur hume agg ke azaab se bacha”. Jase he apka tawaf mukamil ho jae, apne sidhe bazo ko dheklen or 2 rakaat namaz ada keren. Ye zarori nahi he ke ap Al-Haram masjid ke Tawaf wale hisse ki kis jga per hen, ap yeh nawafil kahen bhi ada ker skte hen.

Nawafil Ada Kerne K Tarika

Kaba ke chakkar lgane ke bad wo kahin bhi 2 rakaat nawafil ada kera ga. Inko ada kerna ka tarika zara sa mukhtalif he, Muhrim ko pehli rakaat me Surat al-Kafirun ki talawt kerni hogi or dusri rakaat me Surat al-Ikhlas ki talawat kerni hogi. Iskle bad muhrim zamzam pani pie or dua mangle.

Teesra Marhla (Sa’ee)

Iske baad ap teesera marhale me dhakil ho jate hen jahan Muhrim do paharon ke darmiyan tawaf kerta he. Ap isko tawaf yani chakkar ka naam bhi de skte hen kun ke muhrim ek pahar se dusre pahar tk bhagta he. Yahan bhi apko 7 chakar lgane honge wo is terha keh; pehle as-safa se al-marwa tk phir al-marwah se as-safa or is terha apko 7 martba indo parho ke damriyan bhagna he.

اَللّٰهُ أَكْبَرُ، اَللّٰهُ أَكْبَرُ، اَللّٰهُ أَكْبَرُ، وَلِلّٰهِ الْحَمْدُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ لَا إِلَهَ إِلَّا اَللَّهُ وَحْدَهُ، اَنْجَزَ وَعْدَهُ وَنَصَرَ عَبْدَهُ وَهَزَمَ اَلْأَحْزَابَ وَحْدَهُ

Allah sub se barah he, Allah sub se barah he, Allah sub se barah he. Allah ke siwa koi ibadat ke liaq nahe, uska koi shareek nahe. Tamam tarefat or badshahi Allah he ki he. Wohe zindgi aur mot deta. Wo her chiz per qadir he. Allah ke siwa koi ibadat ke liaq nahe, uska koi shareek nahe. Usne apna wada pura kia, apne bandon ko fateh di or usna he shazish chalne walon ko shikast di.

Ye dua durhaen jb ap as-asfa se tawaf ki shurwat keren or zara si tezi se al-marwah ki terf jaen. Duran e tawaf ap koi bhi dua ker skte hen, yad rahe ke ap ko Ihram ki halat me hona chye, wuzu ki halat or Istimal-e- Hajarul-Aswad kerna hoga. Hajarul-aswad ko chumna ya uski terf ishara kerna ko Istimal-e Hajarul Aswad kehte hen.

Akhri Marhala (Halq Ya Taqsir)

Umrah ke doran Muhrim ko bal katne ya nakhum tarashne se gurayz kerna chahiya lakin akhri marhala me Muhrim ko sir se tamam bal utarwane honge. Is marhale ko Halq yani mukamal saaf sar yah phir Taqsir yani balon ko 1 inch chota ker lena. Halq ya Taqsir tamam Muhrimeen ke lie lazim he taake wo Ihram ki halat se bahir ajaen.

Iske lie ap ko zyada tagodo nahe kerni pere gi balke ap Halq kahi bhi kerwa skte hen jahan apko hajam yani ke bal katne wala mile. Zydatar, hajam Zamzam towers, Hilton shopping mall ya phir al-marwa ke mukam per mil jaten hen. Yad rahen ke ap usi hajam ke pass jaen jo liscense yafta ho.

Mard hazrat ko pure sir ke ball utrwane ka hukum he jb ke khawateen k lie balon ki ek tehai ungli ki lambai tk katna ka hukum he. Barhal, is amal ke bad ap Ihram ki halat me nahe hen balke ab ap per jitni pabandian thi khtm ho chuki hen. Iske baad ap mazeed jagah ja skte hen jese ke Masjid-ul- Nabwi ya Masjid Quba.

Kia Masjid Ul Nabwi Jana Farz He?

Umrah ek asi ibadat ka naam he jo keh Ihram ki halat me he mumkin he. Lakin jb ap sar ke bal utwara den, apka Umrah mukamil ho jata he is lie Umrah ke faraiz yahan he khtm ho jate hen. Jb ke mazeed safar kerna or Masjid ul Nabwi jana Umrah ke faraiz ka hissa nai smaja jata.

Iska mutazad, Masjid ul Nabwi me namaz ada kerne ka bohot sawab he, jahan tk Hazrat Muhammad (SAW) na farmya; “Masjid ul Nabwi main mera ek namaz ada kerna 1000 namazon se afzal he jo keh kahin aur ada ki jaen. Masjid al-Haram main ek namaz ada kerna afzal he 100,000 bajae dusri masjid me namaz ada kerne se”.

Kia Umrah Ki Iqsam Hoti Hen?

Bunyadi tor per Umrah ki 2 iqsam hoti hen jin me Umrah al-Mufradah zyda jani jati he. Is qisam ke Umrah me Muhrim ko hajj ki adaigi nai kerni hoti. Is Umrah ki adaigi ka tariqar uper bta dia gya he. Umrah al Mufradah me bhi Muhrim ko 4 marholon se guzarna hota he jinme Ihram, Tawaf, Sa’ee aur Halq shamil hen.

Dusri janib hum dekhte hen ek asi ibadat jo keh Hajj ki adaigi se pehle ki jati he. Is Umrah ko Al Tammatu kehte hen jis main Muhrim Umrah ada kerta he phir Hajj ke faraiz ki terf berhta he.

Is qisam ke Umrah me apko pehle isi terha 4 marahil se guzarna hoga; Ihram, tawaf e Kaba, Sa’ee aur Halq ya phir Taqsir. In tamam Umrah ke faraiz ada kerne ke bad Muhrim Hajj ke faraiz ada kerta he jese Mina pr rukna, Arafah pr rukna wgera.

Umrah ke 4 hisse konse hen?

Umrah me 4 hisse hote hen jis me shurwat Ihram se hote he phir Tawaf, Sa’ee or akhri marhla Halq ya Taqsir hen.

Umrah Kitni iqsam ka hota he?

Umrah ki bunyadi tor per 2 iqsam hen; Umrah-al-Tammatu aur Umrah-ul-Mufradah shamil hen.

Umrah main kitne km hote hen?

Ek mohitat andaza ke mutabiq Umrah me ek Muhrim 1.4 km fasla tah kerta he.

Ikhtatam

Umrah ek asi ibadat he jisme humein bohot he ahityat se Ihram ki pabandion ka khyal rekhna hota he ku ke ek choti si bhul apki Ihram ki halat ko khtm ker skti he. Sath sath apko yeh bhi zahen mein bethana hota he ke apke is safar ka maqsad sirf or sirf Allah ko razi kerna he na keh kisi gair-sharae amal me mulawis hona. Khair, main ne Umrah ka tarika asaan zuban or marahil me bta dia he or ye bhi btya he ke Umrah ki kitni iqsam hen, meri dua he Allah apka Umrah Qabool farmae.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *